सोमवार, 14 दिसंबर 2015

kyon ki mai bihari hoon....

Kyon jujh rahe manav aaj maaarne or jilaane ko,
Aanshu bhi girne se pachhta rahe ab vyarth hee beh jaane ko,
Sukhe hai bag bagiya sab pani bin murjhaane ko
Khoj rahi hai nayee kiran ab,nayee disha ug jaane ko
Lut rahe rajneetik lutere,garibo ki bhukh badhane ko,
Mil gayi raah sahi gar,ek bihari deewane ko
Chaand taare bhi tod laayega dharti pe,nayee jyoti diklaane ko
Zamin aasma ne sicha tha un veero  ko,itihaas gawah hai sadiyon se,
Jaan hathel par liye ghumte the,manvata(vatan) ke liye mit jaane ko
Jinhone kiya tha tan man dhan vatan ke hawale,deeye the nishani ajaadi ki,
Aap taiyar hai ab,usko mitaane ko,
Garv karo ki hum bihari hai,jis bhumi pe bhagwan ram bhi aaye the siksha pane ko.

Pure bihar ki to baa thee alag hai,sirf do char log kaphi hai marishas jaise rashtra basane ko.